कोर्ट में आया अनोखा CASE

(Court me judge aur vakeel hai aur ek baap apni beti ko laya hai...aur usne apni hi beti per case kiya hai…)

Judge:
Kaho tumahara kya kissa hai?
Ye ladki jisper tumne case kiya hai, lagti ye tera hissa hai...

Vipaksh ka vakeel: 
Ji jnaab! bada ajab ye khel rachaya,
Aaj ek baap apni hi beti ko court le aya,
Mujhko bhi kuch samajh naa aya...

Judge:
to ek kaam kro! Arre ek kaam kro! 
Zara isi se pucho chakkar kya hai sach kya hai,
Kyu laya adalat me apni beti ko akhir yeh chahta kya hai...?

Baap
kya main apni chuppi todu?
Vakeel sahab! Izazat ho to main kuch bolu??

Vakeel: 
haan-bhai-haan, ab tum hi bolo, 
iss case ka raaz ab tum hi kholo...

Baap: 
meri hai itni darkhwast, na koi behas, na hai bakwas,
Ye hai beti meri bus isko aap saza do aaj...

Judge: 
arre! bhala apni aulad ke saath koi esa karta hai,
Lagta hai tu pagal hai, tabhi waqt barbad karta hai...
Main teri beti ko nahi magar tujhko saza zaroor dunga,
Adalat ka waqt zaya karne ke zurm me tujhko andar karwa dunga...

Baap: 
arre maalik! Naa main waqt barbad karta hu, na main mjaak karta hu,
Main ek beti ka baap hu isiliye bus thoda darta hu... 

Judge: 
abhi kaha tune ki meri beti ko saza do,
ab keh rha hai ki drta hai, arre ye pagal hai ya main, Koi to bata do...

Baap: 
haan! Main darta hu iss baat se,
Ki kya yeh meri beti lad payegi apne halaat se...

Judge: 
kya halat kesi baat kya keh rhe ho tum, 
Apne sath is adalat ka waqt kyu zaya kar rahe ho tum...?
Arre! Ruk tu to pagal lgta hai,Tabhi yeh behki bate karta hai...
Zara teri beti se puchu ki kya tu ise bhi yun hi tang karta hai???

(Judge beti ki taraf dekhta hai)
Judge: 
beti ab tum hi batayo,
Apne baap ko zara samjhayo,
Tum padi-likhi lagti ho,
Zara apne baap ko adalat ki ahmiyat samjhao...

Beti: 
Ji! Ye sach keh rahe hai, Haan Ji! Ye sach keh rahe hai,
Jo faisla inhone liya mere liye wo sahi le rhe hain...
Main beti hu isiliye aap mujhe saza do,
Main kaat lungi umra qaid bus jagah bata do...

Judge (gusse me):
Tum dono ko adalat ki nahi pagalkhane ki zarurat hai,
Tumhe vakeel ki nhi manovaigyanik ki zarurat hai...

Judge (vakeel ki taraf dekhte huye):
arre! Kya chakkar h, kya majra h, zara tumhi batlao, 
Kya chahta hain ye dono, koi to mujhe samjhao...

(Beech me baap bolta hai) 

Baap:
 
chaliye main batata hu aapko me kyu darr raha hu,
Aur kyu main apni hi beti per case kar raha hu...

Baat asal mein aisi hai,
meri beti phulon jaisi hai...
Gar kal koi manchala ashiq iske chakkar lagaega, 
Aur kisi wajah se jab wo isko hasil naa kar paega,
Ya to wo kar dega rape iska, ya tezaab se iska chehra jalayega...

(Vakeel ki taraf ishara karte huye)
Aur inke jaisa hi koi vakeel meri beti ko chareetra heen aur, us rapist ko masoom bataega...
Tab apka ye court bhi shayad insaaf nahi kar payega,
Aur ye baap jo khada hai aapke samne ye bus court ke chakkar lagayega,
Aur inn sabme ya to meri beti mar jayegi, ya phir uska jeevan barbad ho jaega... 

Aur agar zinda rahi, to, kyuki main baap hu mujhe uss waqt bas yahi dar sataega, 
Ki haaye! ab meri beti ko kaun byahega?...

Bus itni si baat hai jo main apni hi beti ko aaj is adalat me laya hun,
Main ise saza dilwane nahi balki kal hone wali ghatna se bachaane aya hu...
Judge: 
magar tum itne dave se kese keh sakte ho ki yahi hoga,
Meri baat maano, to daro mat aisa kuch nahi hoga...
Aur kisi ne gar ki aisi himmat to adalat hai hum hai,
Tumhara beti ke liye kya yeh sab kam hai???

Baap: 
kam nahi bahut jyada hai,
kaun jaane kiska kya irada hai??
kaise maanlu aapki bat aksar aisa hota hai,
har dusre din koi na koi hadsa ladkiyon ke saath hota hai,
aur in sabme sirf ladki hi nahi pura parivaar tabah hota hai…

Vakeel (Judge ki taraf dekhte huye):
Judge sahab! Yeh adalat ko bewajah bhatka raha hai,
apni betuki maang se Humein apni baton me atka raha hai… 

Meri maaniye to ise adalat se bahar fikwa dijiye,
Ya fir iss per adalat ki maan haani ka case kijiye… 

Tabhi iski akal thikaane ayegi, 
aur dubara aisi kisi ki himmat na ho payegi…

Baap: 
aap jo marzi chaahe mujhe wo saza dein, 
magar usse pehle main apni beti ko aane wale hadse se,
kaise bachau bus itna bata dein…

Judge(baap se puchta hai):
waise to tune adadlat ka waqt barbad karke ki hai khata,
Magar akhir tu chahta kya hai ab yeh bata???

Baap: 
Main bus itna chahta hu ki aap koi aisa kanoon bnado,
ki ya to ek khoon hum maa-baap ko maaf kara do,
ya waqt per sunwayi karke mujrimo ko saza do… 

Ki himmat na ho kisi ki insaan se haiwan banne ki,
Aur naa hi zarurat pade kisi ladki ko darne ki,
Aur koi beti naa mange dua waqt se pehle marne ki…

Judge
Teri batein sunkar to meri bhi aankhein bhar aayi hai,
Pehle laga tha betuka tumhara case mujhe,
Magar sach me tumhari baton me gehrayi hai,
Aur tumhari pareshaani mujhe ab samajh aayi hai…
Main bhi kya karu main bhi to majbur hun,
Magar tumhari baato se main sehmat jaroor hun…

Jald hi yeh kanoon badle Main bus yahi dua karta hu,
Main bhi ek beti ka baap hu isiliye main bhi tumhari tarah darta hun…

Beti (beech me bolti hai):
Ab darna nahi hai, kuch karna hai,
Ya to maarna hai ya marna hai, 
Magar ek bat tay hai ab nahi darna hai,
Jo bigad gaya hai usko thik Humein hi karna hai…

Bhool gaye hai sab shayad, Ravan ka wo haal,
Ki parchhayi chhune bhar se ho gya tha wo behaal,

Lagta hai ab unn haiwaano ki aakhein tabhi khul payegi,
Jab hum ladkiyan maa parvati ka nahi maa kaali ka roop dikahyegi…
Aur insaaf ke liye court ke ab chakkar nahi lagayegi, 
koi agar krega atyachaar to wahi use maar girayegi,
Tab iss kanoon aur samaaj ki aankhein khul payegi…

*********************************************************************************************************************************************************************************************************************************************************

ऐसे ही और ख़्यालों लिए सब्सक्राइब करें इस पेज को , या FOLLOW करें  INSTAGRAM पर। 

धन्यवाद  🙏🏻😊
 
*********************************************************************************************************************************************************************************************************************************************************

Comments